As salamu allaiqum
Yeah 3 rakat namaz witr isha ka tareka ha . sab se pehla niyat kareen .us ka baad takbir e tareema kareen yani apna dono hath apna kano tak le jar kar dono hath ka anghotay kano ki loh pe lagahe yani kan k nichla hisa pe lagahe . phir kahe Allah-o-Akbar keh kar apna dono hath band lay hath naf ka nicha rakh kar band lay bahe hath ka uper daya hath ana chaheya or girift bana kar pakarlay dahe hath se bahe hath ko phir sana pareen
SANAA
"Subhana Kalla Humma Wa Bee Hamdeeka Wata Baara Kasmooka Wa Ta'ala Jaddoo Ka Wa La ilaha Ghairuka"
Is ka baad
TA'AWUZ pareen
"Aaoo Zoo Billahee Minash Shaitaanir Rajeem"
phir
TASMIYAH pareen
"Bimillah Hir Rahmaanir Raheem"
Is k baad surah fateha pareen
SURAH FAATEHA
"Alhamdo Lillahi Rabbil Aalameen Ar Rahamaanir Raheem Maaliki Yaomid Deen iyya Kana Budoo Wa iyya kanastaeen Ihdinas Siratual Mustaqeem Siratual Lazeena An Amtaa Alaihim Ghairil Maghdoobe Alaihim Walad Dualleen"
Phir quran pak ki kohi se be surah ki tilawat kareen surah choti be par sakte ha jesa surah falaq, surah nas, surah kafiron, surah fil ,surah ikhlaas,
Phir surah ikhlas pareen
SURAH IKHLAAS
"Qul Huwal-Laahu Ahad. Allaa-hus Samad Lam Yalid Walam Yoolad Walam Yakul Lahoo Kufuwan Ahad."
Phir yeah kahe Allah-0-Akbar or rukoo main jahe apna dono hath apna ghootno per rakhe or yeah tasbi pareen 3 5,ya 7 dafa
"Subhaana Rabbi-yal Azeem"
Us ka baad TASMEE yani yeah alfaz keh kar seda khare ho jahe
"Samee Allahoo Layman Hamidah"
Phir seda khare khare yeah kahe
"Rabbana Lakal Hamd"
Phir sajda main jahe Allah_0_akbar kehta howa
Sajda main jate howa zameen per pehla gotna rakhe , phir hath rakhe ,phir dono hatho ka darmayan is taraha chera rakhe k pehla naak or phir matha zameen per ahe or hath is tarah rakhe ka ungaliya kibla rukh ho note(pao khare rakhe or niche pao ki ungaliya fold honi chaheya taka pao ki ungali be sajda kareen , pet rano se nahi lagna chaheya mard ka )
Or sajda main yeah tasbi pareen
SAJDAH
"Subhaana Rabbi-yal 'Alaa" yeah 3,5,ya 7 dafa be par sakte ha
Phir Allah -0-Akbar keh kar beth jahe or apna daya pao khara rakhe or ulta pyer ka upper beth jahe
Phir dosara sajda kareen or yahe tasbi pareen
"Subhaana Rabbi-yal 'Alaa"
Phir Allah-o-Akbar kehta howa seda kareen ho jahe
Or dosare rakat pore kareen jab dosara sajda dosare rakat ka karleen to bajahe seda khara hona ka wahe beth jahe or TASHAH-HUD pareen
"Atthayyato Lillahe Wassalawato Wat Tayyebato Assalamu Alaika Ayyohan Nabiyo Wa Rehmatullahi Wa Barakatoh Assalamu Alaina Wa Ala Ibadillahis Sualaiheen Ashadu An La ilaah illal Laho Wa Ashadu Anna Mohammadan Abdohoo Wa Rasooluhoo"
TASHAH-HUD parte howa jab Ashadu An La ilaah illal Laho per pouchay to dahe hath ki shahad ki ungali ko chor kar baki ki tino ungali ko moti ki tarah band karleen or anghota ko be milahe or shahdad ki ungali ko thore dair k liya otha kar gira den
Phir Allah_0_ akbar kehta howa seda khare ho jahe or hath band kar apni tesare rakat pareen 3 rakat main surah fateha ka baad kohi assan sorate parleen jab sorate parleen to yeah kahe Allah-o-Akbar matlab takbir e tareema kareen yani apna dono hath apna kano tak le jar kar dono hath ka anghotay kano ki loh pe lagahe phir dobara hath band lay or dua qunoot pareen phir rokoo kareen .or baki rakat pore kareen jab app 3 re rakat ka dosara sajda karleen to bajahe seda khara hona ka wahe beth jahe or TASHAH-HUD pareen
Phir DUROOD-E-IBRAAHEEMI pareen
"Allah Humma Salle Ala Mohammadiyon Wa Ala Ale Mohammadin Kama Sallaita Aala Ibharima Wa Ala Aalay Ibarhima Inna Ka Hameedum Majeed. Allah Humma Baarik Aala Mohammadiyon Wa Ala Ale Mohammadin Kama Barakta Ala Ibrahima Wa ala Ale Ibarhima Inna Ka Hameedum Majeed."
Phir kohi dua pareen jo quran or hadees main ho
DUA 1
"Allaa-humma Innee Zalamtu Nafsee Zulman Kaseeran wa Innahu Laa Yaghfiruz-Zunooba Illaa Anta Faghfirlee Maghfiratam Min 'Indika Warhamnee Innaka Antal Ghafoorur Raheem."
DUA2
"Allah Humma Rabbana Aatina Fid Dunya Hasanah Wa Fil Akhirate Hasanah Wa Qina Azaban Naar."
in main kohi se 1 Dua parleen
Is ka baad seda khanda ki taraf mu kar ka yeah kahe
assalamu alaikum wa rahmatullah
phir ulta khanda ki taraf kar k yeah kahe
assalamu alaikum wa rahmatullah
salam karte howa namaze ki nazree kando ki taraf honi chaheya
yeah video be deak lay is main tareka deakhaya gaya ha witr ki namaz parna ka
dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com

58 comments:
thanks k ap ne ye tareeka btaya.
Thnk u so much!
thanks
Thank you so much.
Shukriya!
Subhanallah ap ne itna acha jankari is website pe dala hai ki kehne ke koi lafz nahi hai.SUKRIYA
bohut khob mujhe namaz ka tareeqa nahi aata tha thankyou aap sab ka ameen azeem
shukriya
thnks
my name is imran thanks
thanks a lot...easy to understand..
jazakALLAH
jazakALLAH
thanks 4 him
JazakALLAH.
jazakALLAH
ddr
thanks for great help
JazakALLAH
jazakallah
jazakallah
Anonymous saaid.......
thanks for great help
thanks
Thanks a lot dear
shukriya bhai jaan.
shukriya bhaijan.
shukreya bht bht
Shukreya bht bht
Aap ko allha jannat bheje aap ne hmu namaz phadne ka tarika bataya ..mera name he aamir
Allha apko jannat ada kare aapne hme namaz phadne tarika bataya
dear tell me plz ky 3rakat main surt IKHLAS ky bad kia phrty hain?
great
jazak Allah
Agar Dua Kanoot NA Aati hOo too kiya kary??
Rahnumai Farmae??
ALLAH ap ko hamesha khush rakhay or ap ki tamam pareshani door farmaye (ameen) ap nay bohat asan tareeqa bataya
namaz sab ke liye farz hai \
aap ka bahuth shukriyah
Jazak Allah!
Shukriya
ALLAH ap ko ajar ata karay ameen
jazak ALLAH
mashah allah .....
shukriya bhai.
shukaran ya habib
thnx 4 help
Apko bhut bhut Sukriya jo apni hmari paresani dur ki
JAZAK ALLAH .
4 RAKAT NAMAZ SUNNAT KA TARIQA BATA DEIN
Thanks
thanku very very much.. its sadqa e jariaa..
thank u Very much bhai kush raho hamesha
Thank you vaijaan, SUBHANALLAH
Nice information about namaz e witr
sukriya tumne ye tarika bataya...
bhut bhut shukriya aap ka ,,jazaak allah
april 2013
thank u so much,thnkz
Thank you very much JAZAKALLAH
Shukran !
Jazakallah khairun ..
Post a Comment