Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha

Friday, July 29, 2011

tahajjud namaz ki fazilat

As salamu allaiqum
Tahajjud ka bare main hadees pak ha . hazrate abu huraira razi Allah talah anho se rewayat ha k . rasool pak salal laho allai wasalam ny farmaya . hamara malik or rab wa talah her raat ko jis waquat akhre tehahe raat baki rah jate ha . sama e duniya ki taraf nazool farmata ha . or irshad farmata ha . kon ha jo mujh se dua kareen or main is ki dua kabool karo . kon ha jo mujh se mangay main is ko atah karoon kon ha jo mujh se magfirat or bakshes chahe main is ko bakash do.
Is hadees pak se yeah sabit hota ha . k Allah talah roz raat ka tahahe waquat main sama e dunia ki taraf nazool farmate ha or ahsa waquat main agar dua mangi jahe to dua kabool hote ha . tahajjud ko daily ka rotine bana na ka sab se behtareen tareeqa yeah ha k fajir ki azan se 20 minute pehla ka alaram laga lay apni ghari main takka app wazu kar k aram se tahajjud parleen or tahajudd parna ka baad app fajir ki namaz be parleen ahsa karna se app ka daily ka tahajjud ka mamool ban jahe ga





Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com







60 comments:

IBRAHIM SHAH said...

SUBHAN ALLAH

Unknown said...

thnx brother Allah apko ajar dy aaman.

Unknown said...

you doing great job God bless you.

Anonymous said...

tahajjud shuro hone ka waqt kia hai? 12 ya 1 ya koi aur?

Anonymous said...

shuru hone ka time kia hai?

Unknown said...

Please tell me ke tahajud namaz ada karne ke liye phle sona jarori he kya?
Iska jo bhe masala ho please jaror bataiye.

Unknown said...

Bhai Tahajjud parhnay ka tareeqa phi btadain

Anonymous said...

toh kya tahajud jaag kar padi ja skti hai .. ya phir ek neend lena zaroori hai

Anonymous said...

subhanallah

Khan shafahat said...

Isha ki namaz ke baad par ek neend so kar padhe

Khan shafahat said...

Ek neend sona zarori hai

Uzma said...

Dears Tahajjud ka time subha sadiq tak hota hai....
and tariqa kuch nahe nafil namaz hai kam sai kam 2 rikaat...
aur sokar uthen phir parhen...
Shukria...

Anonymous said...

ji han tahajud isha ki namaz ki bad ek neend layker hi padna chahiye yeh namaz fajar se ek ghanta pehle ada karli toh aur bhi achcha hota hai , iski bad ap kuch bhi ebadad fajar tak ada karli take ap ki fajar ki namaz na chute aur phir fajar ada karey ,

Anonymous said...

Subhanallah....

Anonymous said...

Salam walaikum,
You are Doing a grat job bro.

shakir said...

subanallah

mahtab jawaid said...

TAHUJJAD KE NAMAZ KI FAZILIYAT HAMARE NEEND KO MAR SAKTI HAI..........

DR. ANWER JAMAL said...

umda salah.

Anonymous said...

Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu.

Mere Bhaiyon Deen ke maamlen me kuch bhi masala ho guzarish hai ke Aaleem / Mufti Sahab se maalumat karen. aur duniya ke bareme me bhi Advice lijiye.

Jazakallah.

FAIZAn E RAZA said...

tahaud k lia sona lazmi ha... Agar aap 9:00pm soe aur 9:15pm pa aapki aankh khul gaey to aap tahaajud aada iar saktay hain.. Behtar waqt taqreeban 2am ka ha..

Anonymous said...

As salam o alikum,good r hum sab mil kar hi sab ki islah kar sakte hai jo hum karte rehnge INSHALLHA.

Unknown said...

Allah tala tamam muslmano ko TAHUJJAD namaz or 5 waqt ke namaz parne ke tofeq ata farmai .amin summa amin

Unknown said...

Allah tala tamam muslmano ko TAHUJJAD namaz or 5 waqt ke namaz parne ke tofeq ata farmai .amin summa amin

kabir said...
This comment has been removed by the author.
kabir said...

Assalamalaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatahu,
Mujhe ye janna hai agr me 4 bje ka alarm laga k sota hu tahajud ki namaz k liye, lekin meri ankh 2 bje khul gai lekn me wapas sogaya or 4 bje alrm bajne par uth kr namaz padha toh ye jayaz hai ya nhi, plz rply...

Anonymous said...

Thanks Amel Soname, Allah tala aapko har waqt khush rakhey..aamin

Unknown said...

assalamallaikum,,,,,,,,,,,,,issey padkar muje bahut khosi hovi,,

Unknown said...

mashaallah

Unknown said...

mashaallah

Unknown said...

SUBHAN ALLAH..... THANKS

Unknown said...

MASHALLAH THIS SITE IS WONDERFUL I REALLY LIKED THAT

Sahzad Khan said...

MashAllah jazakaAllahau khairan bhai

Unknown said...

tahajjud ki namaz 3 baje padni chahiye ye baat sahi hai

Unknown said...

meri ammi quran nahi parilekin wo tahajjud ki namaz parti hain lekin une koi surat nahi ati to wo surat ki jagha meri ammi kya pahre ???

Anonymous said...

jazakalah. Brthr tahjad k tim k lea koo wazefa beta den

Anonymous said...

as asalam oalaikum tahajjud ke namaz ke liye neyath kya bol ke baana ...or ise jaag kar pad sakte

waseem said...

Bahyo or behnon tahajjat ki namaz faraz namaz esha ke bad se kisi bhi Wakth ada ki ja sakti hay .farz namaz esha ke badh vitar namaz se pehly bhi parhi ja sakti hay or rat ke kisi pehar bhi. Namaz tahajjat ka afzl wakth rat kaakhri hisa hay Jo ke azan fajar se do ghente kabal shoru hota hay

waseem said...

Bahiyo or behno wazaif ki asli takat us wakth talk nahen milti jab tak insan panch wakth ka namazi name ho.wazaif poche nahen balke apni ebadat she hasil keye jate han.kohi bhi wazifa us wakth tak asar na kare ga jab tak kohi alim ye wazifa ap ko na dy.ye Jo wazaif log karte han beghair alim ki ejazat se WO sirf sawab hasil karty han wazaif ki asli takat nahen

waseem said...

Bahiyo or behno kohi wazifa asar na kare ga agar ap panch wakth ki namaz na parhen gy or wazaif main Sab se afzl wazifa darood Sharif hay keyon ke ye Allah ka apna wazifa hay farishton kar bhi ye hi wazifa hay or sirf ye wazifa pori umat ke leye Allah ki taraf se hasil hay tu jitna ho sakhe is ka wird karen

waseem said...

Meharbani farma kar mery is koshish ko kabool Karen or in par amal karen Allah har medan main ap ka hami o nasir rahe amin

waseem said...

Tahajjat ke leye so kar utna lazmi nahen balke behtar amal hay ke so kar uta jahy . namaz esha ke bad vitar namaz se pehly bhi tahajjat Ki neyat se nafil namaz ada ki ja sakti hay us ka sawab adhi rat ke nawafil. Se kam ho ga par har kohi ise ada kar sakta hay insallah Allah hamen is par amal ki tufeeq ata farmahe amin

waseem said...

Ali raza sahib ap ki waleda ko 3 par sura e ikhlas parni parhe gy

Anonymous said...

agar banda night duty kar raha ho to us ke lie kia order hai jinab

shamim khan said...

bait ul muqadas ko qibla kab aur kis kitab me zikr aya

Unknown said...

insha allah jaroor bhai

Muhammad Habib said...

Masha Allah

Allah ap sb help krne walon ko iss neki ka ajr dunya aur akhrat mein de ameen sum ameen

kosar said...

Subhanallah

Anonymous said...

Agar wazifa google waghira par post howe ho to us main taqat nahi hota????ye to ghslt baat hain ,wazifa main taqat he taqat hain,teak???

sheraz Ahmad said...

Assalamu Alaikum
(1).Plz Bataen ki Tahajjud ki namaaz me kounse se sureh padhun agar baday sureh nhi aatein hon toh kya chote suratein padhne se namaaz ada ho jaegi
(2). aur bataen ki tahajjud ki namaaz ki rakatein kam se kam aur zyada se zyada kitna padhne afzal hota hai
Shukreeya, Jazak Allah

Anonymous said...

Hamain tahajjud lazmi parhni chaheye

nida saifi said...

Thanks btane ke liye
Allah aapki jayz dua qubool farmaye

Anonymous said...

Assalam Alaikum...
khairiyt.
Tahajjud namaz 12rakat hai or nafil namaz h to kya hum isme se 2 rakat ada karen to behtar h ya ni....

Anonymous said...

Tahajjud ki namaz ada karne k liye sona zarori nai hae agr aap jaage hove hae to bhi parh sakte hae...
Tahajjud ki rakat 4 hae agr koi 2 rakat bhi parhta hae to os sae koi fark nai parta....

Anonymous said...

Tahajjud ki namaz parhne k liye sona zarore nai hae agr aap othe hove hae to bhi parh sakte hae....
Tahajjud ki 4 rakat hoti hae. agr 2 rakat bhi parhle to os sae koi fark nai parta....

Anonymous said...

Rat ka ek tihaai hissa kya a I mean exactly kya time hoga ?

Unknown said...

Kya aap mujhe 9565622994 iss nmbr p call kr skte h ek bht hi zroori masla h aap se salah chaiye plzzz cal zroor kriyega..!!!

Unknown said...

tahajjud ki kitni rakat hoti hai
or ek baar me kitni rakat ki niyat kar sakte hai
or iski niyat kese hoti hai

Unknown said...

tahajjud ki kitni rakat hoti hai.
or ek baar me kitni niyat kar sakte hai.
or kiyat kese karte hai

Unknown said...

tahajjud ki niyat kese hoti hai.
or kitni rakat hati hai tahajjud me.
or ek martaba me kitni rakat ki niyat kar sakte hai

Unknown said...

Kia tahajud ki namaz k liye isha ki namaz parhna lazim hai ? Mei ny kahn parha tha k tahajud ki namaz nhi hoti agr isha ki namaz adda na ki jaye ?

Popular Posts

Template by:
Free Blog Templates