Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha

Friday, July 29, 2011

Ishraq ki namaz k faida

As salamu allaiqum
Sab se pehla apko namaze ishraq ki fazilat bata deta ho
Namaz e ishraq ake nafli namaz ha jo toluh aftab ka baad is waquat parhe jate ha jab aftab zara boland ho jahe or yeah toluh aftab ka takrebon 12 minute baad be parhe ja sakte ha . yeah sirf 2 rakate hote ha . laken hadees main is namaz ki bahad fazahil batahe gahe ha . hazrate abu huraira razi Allah anho se rewayat ha . k rasool pak salal laho allai wasalam ny irshad farmaya k jo shaks ishraq ki 2 rakat ki pabandi karlay is k saghera gonah maaf kardeya jate ha khowa wo samander ka jaag k baraber ho.
abu huraira farmate ha . k rasool pak salal laho allai wasalam na ake martabah kuch sahaba ko jahad ki ake mohim per rawana farmaya . wo bohat jald loot ahe or bohat sa maal ganimat le kar ahe ake sahab na is per tajoob ka izhar karte howa rasool pak salal laho allai wasalam se araz kiya k ya rasool allah hum na is se pehla kohi lashker ahsa nahi deakha k itni jaldy loot kar aiya ho . or ishe itna maal ganimat hasil howa ho jitna is lashkar ko howa . app na farmaya k kya main is shaks k bare main na batlaho jo in se be jaldy wapious ajahe or in se be zada maal ganimat le kar ahe . phir farmaya k jo shaks achi tarah wazu kar k masjid jahe or namaz fajir adah kareen phir is ka baad tuloh aftab k baad namaz e ishraq adah kareen wo jaldy wapious aiya or akim maal e ganimat lekar aiya ha
hazrate abuzar gafare razi Allah tala anho ki hadees ha jis ka mafoom yeah ha k insan ka jisam main 360 joor ha in main se har ake ko jahanoom se azad karana k liya her insan ko din main kam az kam 360 nakiya karni chaheya phir rasool pak salal laho allai wasalam ny wo nakiya be farmahe . jin se yeah maksaad hasil ho sakta ha chunacha apna farmaya . k yeah subhan Allah kehna ake naki ha . Alhum dulil lah kehna yeah be ake naki ha . la ilaha ill lal la kehna yeah be ake naki ha . Allah o akbar kehna yeah be naki ha kisi ko naki ka hukum dena yeah be naki ha . kisi ko borahe se mana karna yeah be ake naki ha . yeah sare fahrist karna k baad apna farmaya
or in sab nakio k badlay 2 rakateen bi kafe ho sakte ha . jo kohi shaks ishraq k waquat adah kareen
jis k mahina yeah howa ka yeah do rakateen 360 nakio k kahim makam ho jate ha . ishraq main afzal tareeqa yeah ha k fajir kai namaz parh k insan ishe jaga betha kar zikar karta rahe phir tulooh aftab k baad ishraq parh kar othe hadees main is ka saweb hajj or umrah ka baraber bataya gaya ha .





Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com







33 comments:

shaban nafees said...

mashallah bahut khub

nadeem said...

mashallah.....kya yae ghar mai b padh saktae hai...

nadeem said...

mashallah.....kya yae ghar mai b padh saktae hai...

Unknown said...

Jazak allah amel soname
.
@nadeem kahin bhi pad sakte bas jagah paak rehna
. magar ous hi jagah padna jahaan aap ne fajar
ada ki thi to woh namaaz allah ke qareeb bohot afzal hai
.
once again thanks amel soname

Unknown said...

Jazakallah.

Anonymous said...

Subhan'Allah and Jazak'Allah :)

Mohammad Jasim said...

Subhan Alla,, kaafi achhi ilm haasil huee,,waqai ,

Dr shafae pasha said...

Jazz Allah,, subhan'allah

Unknown said...

subhanallah allah tamam musalmanon ko ya namaz adda karny ki tofiq dy

jk cammunication said...

ALLAH TALA aap ko siht ata frmay aameen

Unknown said...

Namaz e Ishraq ka Complete year Schedule mil sakta hai.

Unknown said...

Nice thinking

Arfeenkhatri said...

Masha Allah

Unknown said...

MA SHA ALLAH

Unknown said...

I am SEO specialist and i can help you in introducing your website on Google.

Regards

Tayyab

Anonymous said...

Jazkallah

Anonymous said...

JazakAllah great job!

Unknown said...

Masha Allah
Allah hu akbar

Anonymous said...

Apne jo 360 naiki ki ada krne ki baat khi uski adaaegi k lye CHASHT ki do rakat kafi h...Ishraq ki nhi....Allah aap par rhmat nazil frmaye k apne jo ku6 v apko pta h use share kiya...Jazak-Allah-Khair,(Allah apko iska ajar de) Ameen...

Anonymous said...

fabiousless site

Anonymous said...

ke 2 yIshraqke4 nafal hotay hain, koshish karain 4 parhain.

Jab bhi Allah ka naam ya Hazrat Muhammad Sallaho Alaihey Waslam ka naam ya kisi bhi Sahaba ka naam likha jaye woh capital main hona chahiye.

Unknown said...

Jazaak Allah.
Likhne ka andaaz kaash aur acha I.e., better hota hota.

faiyaz khan
Sayeedabad Colony
Hyderabad

Anonymous said...

Aslamualaikum chasht aur ishraq ki namaz me kiya farq hai aurdin k hisab se inki tymings kiya hongi aur niyat nafil namaz ki tarha hi hogi kiya? Shukriya

Unknown said...

Assalaum alaikum,

Bhai waqt bata sakte hai kabse kabtak padna hai namaz isharq ki

Anonymous said...

JazakALLAH u khair to share this wonderful knowledge with us

Unknown said...

Yeh batein kafi logon ko malum nahi hoti hai aapne information dekar bahu accha kam kiya hai. FAROOQUE KAISER

Unknown said...

Aapka blog namaze ishraq aur namaze chast ke bare me bahut accha hai.yeh malumat har muslim ke liye zaroori hai

Unknown said...

Yeh batein kafi logon ko malum nahi hoti hai aapne information dekar bahu accha kam kiya hai. FAROOQUE KAISER

Anonymous said...

Masha Allah... Aapko bhi Allah pak iska ajar de..

Unknown said...

Ma sha Allah jazak Allah

Waqas Ahmed said...

JazakAllah

Unknown said...

Masha Allah

imran said...

ASALAMOALIKUM JAZAKALLAH

Popular Posts

Template by:
Free Blog Templates