hazrat muhammad bin munkadir rh se riwayat hai ki ek baar hz jaabir ra ne sirf ek chaadar oadh kar, use sar ke peeche girah laga kar namaz padhi, jabki unke kapde (qareeb hi) ek tipaai par pade hue they, kisi ne kaha: "aap ek chaadar me namaz padhte hain"? Unhone farmaya: " maine isliye yah kaam kiya hai taaki tum jaisa bewakoof dekh le, nabi akram(sws) ke zamane mubarak me hamme se kiske paas do kapde hote they?
( sahih bukhari kitabus salaat, baab aqad h 3522)
imam ibne hajar rh ne farmaya: " yahan bewakoof se muraad la ilm hai...... Hz jaabir ra ka maqsad yah bayan karna tha ki ek kapda pahan kar namaz padhna jayez hai, agarche do kapda pahan kar namaz padhna afzal hai, in (ra) ke farmaan ka matlab yah hai ki maine yah kaam jaan bhoojhkar batane ke maqsad se kiya hai, taaki nasamajh ya waise hi meri pairwi kar le, ya mujhe toke to main use bataun ki yah jayez hai, unhone Kalaam me sakhti ikhteyaar farmayi taaki ulama kiraam ko tokne se mana farmayen aur isliye bhi ki log sharai masle me tahkeek kiya karen
( saabiq hadith ki sharah me mulaheza ho, fath ul baari 1/557)
Note: iski wajah yah hai ki unke paas pajaama nahi hote they, to namazi chaadar ko sar ke peeche gardan(neck) par girah laga liya karta tha taaki ruku aur sazda me parda qaayam rahe
(fath ul bari taba salfiya 1/467)
agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa hamare kohi or dosare kisi be kisam ki help support nahi ha
dua main yaad rakhya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com
1 comments:
Jazak allah
Post a Comment