Najasath ki 2 kisme hai
1:Najasath-e-Galiza (Badi Najasath)
2:Najasath-e-Khafifa(Choti Najasath)
Najasath-e-Galiza:
Najasat-e-Galiza ke kisme
1:Admi ke badan se jo aisi cheez nikli jisse wazu ya gusl jata raha woh
Najasath-e-Galiza hai
Ex: Paakhana, Pishab, Bahataa howa khoon, Peeb, Muh bhar ke qai, Mani,Mazi,
sharab etc etc...
2: Her janwar ka bahata khoon, unka pakhaana, haram janwar ka pishab wagera wagera..
Note:Halaal janwar ka pishab Najasat-e-Khafifa hai
3: Doodh pite bachche (ladka ya ladki) ka pishab Najasath galiza hai
4: Bachcha ne doodh ki qai(uti) ki agar munh bhar hai to najasate galiza hai
5: Kutta,chita aur dusre darande ka lu'aab Najasate Galiza hai
Najasat-e-Galiza kitna lage to paak karna hai ?
Najasat-e-Galiza agar kapde ya badan per ek dirham se
zyada lagjaye to uska paak karna FARZ hai ,
bagair paak kiye namaz nahi hogi.
Agar ek dirham ke barabar hai to paak karna WAJIB hai,
bagair paak kiye namaz pade to makru-e-tehrimi wajibul adaha hai
(yani aisi namaz phir se padna wajib hai)
Agar ek dirham se kaam hai to paak karna SUNNATH hai,
bagair paak namaz pade to namaz hojayegi
magar sunnath ke khilaf hai
Dirham naapne ka tariqa
Najasat-e-Galiza 2 kism ki hai
1:Gaadi Najasath: ex: paakhana,gubar etc etc
2:Patli Najasath: ex: Pishab, Sharab etc etc..
dirham ko naap ne ka tareeqa:
Agar gadi najasath hoto uska wazan dekhe
aur patli najasath hoto uski lambayi, chaudayi dekhe
yani boundry dekhe
Dirham ke wazan shariat me 4.5 mashah hai aur dirham ki
chaudayi,lambayi se yaahan murad takriban hateli ki gherayi
ke barabar hai jo ek rupaye ke phelaawo ke barabar jagha hoti hai
Aaj awaam me ye mashur hai ke
1:Doodh pite bachche ka pishab ya qai(Ulti) paak hai
ye sara sar galath hai ke agar ek din ka ya ek ghante(hour)
ka bachcha ya bachchi pishab ya qui ulti kare to woh
napaak hai uski najasath se hum bachna chahiye
isi tarha badon ki ulti ki najasath se bachna chahiye
2:kutta(dog) badan ya kapdon ko chujane se badan ya
kapde napaak nahi hote chahe kutta tar kyun nahoo,
haan kutte ka lu'ab napaak hai usse bachna chahiye
Najasat-e-Khafifa
Najasat-e-Khafifa ke kisme
1:Halaal janwaron ka pishaab Najasate khafifa hai
ex: Bail, Bakri, Oont etc etc
2:Haram parendon ko beet(Paakhana)
ex: Kawwa, Cheel etc etc
Najasate khafifa lagjaye to kya kare?
Agar najasate khafifa kapdo ya badan per lagi hoo aur woh chautayi se kam
hai to maaf hai yani namaz hojayegi,
agar chautayi ke barabar hoo ya chautayi se zyada hoo to dhuna zarori hai
warna namaz nahi hogi,
Ex: agar kurta ke aasteen ko Najasate-e-Khafifa lagjaye to ye dekhe ke
woh Najasat pure ek aasteen ke chautayi hissa se kam laga hai ya
usse zyada agar kum laga hai to dhuna maaf hai, agar zyada laga
hai ya barabar laga hai to dhuna zarori hai.
Note: 1: jistar uper ke example me kurta ke aasten ke mutaliq bataya gaya hai usi tarha her hisse ko alag alag chautayi hissa dekha jayega,
ex: Paajama ke aasteen, Kurte ka caller ,etc etc
pyare pyare madni phool
1: Najasath galiza ya Najasate khafifa kapde ya badan ke alawa kayi ek khatra bhi
girjaye to woh najis hai , agar woh dhadarda nahoo.
ex: Pani, Doodh me agar ek khatra bhi gire to Woh Najis hai
Note : Dhadarda ka meaning age bhejajayega.
2: Agar Najasath galiza, Najasate khafia me miljaye to
woh Najasate galiza hojayegi
3:Pishab ki chinte soyi ki nouk ke barabar,
badan ya kapde per padjaye to kapde aur badan paak hai a
Agar aisa kapda pani me padagaya to pani bhi napaak nahoga.
4: Namaz ki halath me jaib wagera me sharab ya pishab ya khoon ki
shishi(bottle) hai to namaz nahi hogi
5:Raste ki kichad paak hai jab tak uska najas hona malum naho,
Namaz hojayegi dhulane bhetar hai
agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa hamare kohi or dosare kisi be kisam ki help support nahi ha
dua main yaad rakhya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com
1 comments:
MASHALLAH,
Post a Comment