Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha

Friday, July 29, 2011

Namaz e jumma ka tarika

As salamu allaiqum
Yeah jumma ki namaz faraz ka tareeqa ha .jo 2 rakat hote ha . jumma ki namaz masjid main imam ka picha he adah hote ha agar kisi ki namaz nikal jahe yani jamat chot jahe to phir wo namaz e zohar adah kareen . sab se pehla niyat kareen jab imam sahab kahe Allah o akbar to namaze us ka baad takbir e tareema kareen yani apna dono hath apna kano tak le jar kar dono hath ka anghotay kano ki loh pe lagahe yani kan k nichla hisa pe lagahe or apna dono hath band lay hath naf ka nicha rakh kar band lay bahe hath ka uper daya hath ana chaheya or girift bana kar pakarlay dahe hath se bahe hath ko phir sana pareen
SANAA
"Subhana Kalla Humma Wa Bee Hamdeeka Wata Baara Kasmooka Wa Ta'ala Jaddoo Ka Wa La ilaha Ghairuka"
Is ka baad
TA'AWUZ pareen
"Aaoo Zoo Billahee Minash Shaitaanir Rajeem"

phir
TASMIYAH pareen
"Bimillah Hir Rahmaanir Raheem"
Is k baad imam sahab surah fateha parte ha wo suna
SURAH FAATEHA
"Alhamdo Lillahi Rabbil Aalameen Ar Rahamaanir Raheem Maaliki Yaomid Deen iyya Kana Budoo Wa iyya kanastaeen Ihdinas Siratual Mustaqeem Siratual Lazeena An Amtaa Alaihim Ghairil Maghdoobe Alaihim Walad Dualleen"
Phir imam sahab quran pak ki kohi se be surah ki tilawat karte ha for example surah ikhlas
SURAH IKHLAAS
"Qul Huwal-Laahu Ahad. Allaa-hus Samad Lam Yalid Walam Yoolad Walam Yakul Lahoo Kufuwan Ahad."
Phir jab imam sahab yeah kahe Allah-0-Akbar or rukoo main chalay jahe to namaze be unka picha roko main jahe or yeah tasbi pareen "Subhaana Rabbi-yal Azeem" 3.5.ya 7 dafa yeah tasbi par sakte ha
Us ka baad jab imam sahab TASMEE yani yeah alfaz keh kar seda khare ho jahe "Samee Allahoo Layman Hamidah"
to namaze be unka picha seda khare ho jahe

Phir namaze seda khare khare yeah kahe
"Rabbana Lakal Hamd"
Jab imam sahab kahe Allah o akbar to namaze un k picha sajda main chalay jahe
Sajda main jate howa zameen per pehla gotna rakhe , phir hath rakhe ,phir dono hatho ka darmayan is taraha chera rakhe k pehla naak or phir matha zameen per ahe or hath is tarah rakhe ka ungaliya kibla rukh ho note(pao khare rakhe or niche pao ki ungaliya fold honi chaheya taka pao ki ungali be sajda kareen , pet rano se nahi lagna chaheya mard ka )
Or sajda main yeah tasbi pareen
SAJDAH
"Subhaana Rabbi-yal 'Alaa" yeah 3,5,ya 7 dafa be par sakte ha
Phir jab imam sahab yeah kahe Allah -0-Akbar or yeah keh kar beth jahe to namaze be beth jahe or apna daya pao khara rakhe or ulta pyer ka upper beth jahe . jab imam sahab Allah o akbar keh kar dobara sajda main jahe to namaze be unka picha dobara sajde main chalay jahe or yeah tasbi pareen "Subhaana Rabbi-yal 'Alaa" yeah 3,5,ya 7 dafa be par sakte
Phir jab imam sahab Allah-o-Akbar kehta howa seda kareen ho jahe to namaze be unka picha khare ho jahe ishe tarah imam sahab dosare rakat parahe ga wo be ahsa he unka picha pareen (dosare rakat main sana nahi parni )
jab dosara sajda dosare rakat ka karleen imam sahab k picha to bajahe seda khara hona ka wahe beth jahe or TASHAH-HUD pareen
"Atthayyato Lillahe Wassalawato Wat Tayyebato Assalamu Alaika Ayyohan Nabiyo Wa Rehmatullahi Wa Barakatoh Assalamu Alaina Wa Ala Ibadillahis Sualaiheen Ashadu An La ilaah illal Laho Wa Ashadu Anna Mohammadan Abdohoo Wa Rasooluhoo"
TASHAH-HUD parte howa jab Ashadu An La ilaah illal Laho per pouchay to dahe hath ki shahad ki ungali ko chor kar baki ki tino ungali ko moti ki tarah band karleen or anghota ko be milahe or shahdad ki ungali ko thore dair k liya otha kar gira den
Phir DUROOD-E-IBRAAHEEMI pareen
"Allah Humma Salle Ala Mohammadiyon Wa Ala Ale Mohammadin Kama Sallaita Aala Ibharima Wa Ala Aalay Ibarhima Inna Ka Hameedum Majeed. Allah Humma Baarik Aala Mohammadiyon Wa Ala Ale Mohammadin Kama Barakta Ala Ibrahima Wa ala Ale Ibarhima Inna Ka Hameedum Majeed."
Phir kohi dua pareen jo quran or hadees main ho
DUA 1
"Allaa-humma Innee Zalamtu Nafsee Zulman Kaseeran wa Innahu Laa Yaghfiruz-Zunooba Illaa Anta Faghfirlee Maghfiratam Min 'Indika Warhamnee Innaka Antal Ghafoorur Raheem."

DUA2
"Allah Humma Rabbana Aatina Fid Dunya Hasanah Wa Fil Akhirate Hasanah Wa Qina Azaban Naar."
in main kohi se 1 Dua parleen
Jab imam sahab yeah kahe
assalamu alaikum wa rahmatullah to namaze seda khanda ki taraf mu kareen or yahe alfaz dorahe
phir jab imam sahab dobara yeah kahe
assalamu alaikum wa rahmatullah to ulta khanda ki taraf kar ka namaze yahe alfaz dorahe
salam karte howa namaze ki nazree kando ki taraf honi chaheya or yeah alfaz dil main adah karna hote ha

is video ko be deak la is main juma ki namaz ka assan tarika ha






Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com







55 comments:

Anonymous said...

Subhan ALLLAH!!

Anonymous said...

Assalamu alaikum janab, janab ye btaiye ki juma ki namaz me kitne rakat hote hain... Aur agar juma ki namaz chhut jaye to kya karna chahiye... Zara tafsil se mujhe meherbani kar ke shamim654@gmail.com pe mail kare.Allah hafiz

Anonymous said...

kiya auratton per namaze jumma farz hay?

Anonymous said...

Aurton par namaz - E - Jumma Faraz nahi hy

Anonymous said...

Alahamdollilah bahut hi Nayab tarkia hai.Thnx for this.

Anonymous said...

Aurton ki namaze juum parhne ka sahih waqt bataen. Kia jm masjid main jamaat na hui ho ya ho tahi ho aurat namaz parh sakti hai ya nhi khas kar jumma ki namaz ka bataen. Please

Anonymous said...

Pls lazmi bata dyn

Anonymous said...

Subhan Allah

Awaiz said...

SubhanAllah

ASHFAQ HAMID said...

subhaan ALLAH

Adnan said...

SubhanAllah.

Anonymous said...

GOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOD

Anonymous said...

hum dilse shukriya ada karte hai k aap ne hame namaz sikhne ka mauka diya.

SubahanAllah

Unknown said...

subhanallah bhut nek kam kra he ap logo ne

saad said...

subhan allah..

faiyaz alam said...

subhan allah... Khuda aapko jannat de. Ham ko namaz ka tarika nhi malum tha lekin aapke wajh se lagta hai mai sikh lunga bhai jaan

Anonymous said...

M USMAN TAJ

SUBHAN ALLAH

Anonymous said...

subhan allah ! Hamein namaz mein durood k baad kaun si dua aaqir mein padhni chahiye Ataayatu . . ! Ya fir koi dusri please let me know that u can email me at adilhunk7@gmail.com

Anonymous said...


Assalamu Alikum

Mera Sawaal yeh hein ki Agar namaz me galti ho tau jaise namaaz me hasi namaaz me galti surah ke waqt aur kuch dusra ho jaye .. tau kya namaz ku pir se Aeeda karna hoga.. hume aap tafsil se bateh ... Humhe Aapke Jawab ka intezaar rahega..

Allah Haifz
Dua ki Guzarish..


Mohammed Akram
mohammedakram13@yahoo.com
Hyderabad.

Unknown said...

assalamu alykum mayra yeh sawaal hai ki namaaz may galti honay per (sjaada sao)kernay say namaaz kabil -e-qubool hai ya phier namaaz ko daohrana behtar hai........?

Anonymous said...

assalamu alikum

janab yeh bataye kise waqt ki namaz mein allah tala dua qabul karte hai...??

Anonymous said...

asalamwalekum, janab ye btaye k namaj k bad apne dono galon par hat lagakar toba karna sahi hai ya koi aur tarika hai

Shamshad Khan said...

As-salmo alaikum warahmatullahe wabarakatuh
janab aapse gujarish hai ki aap jo y jumma ke namaz ke masle hai kya aap mujhe wo mail par send kar sakte hai aap bej de to aapki bahut maharbaani hogi meri mail id hai
shamshadkhan86@gmail.com

Unknown said...

mujhe panch waqt ki namaj shikna hai

Unknown said...

Asallam valikum warehmatulla hi wabarkatuh,hamare is sawal ka jawab is E mail address per send kijiye.
Q:- kya namaz padte samay koi khayalat naa aaye is ke liye koi dua hain?

Shaikhaji786@yahoo.in

Unknown said...

Subhanallah

Kiran mobile said...

beshak subhan e allah

Unknown said...

Shukriya ,bhaijan

Unknown said...

Thanks bhai

Unknown said...

subhanallah kya tarika hai.......

Anonymous said...

Subhan Allah jazakAllah bhai

Anonymous said...

Jazak Allah Khair

khalilkhan said...

salam to all and bot e zabardast

khalilkhan said...

salam to all and thanks

Anonymous said...

Allah Ap ko is ka Agr o Sawab De Ameen................

Unknown said...

namaz e juma ki nayyat ka tareeqa to baataye

Unknown said...

Assalamo alaikum

Unknown said...

Assalamo alaikm

Unknown said...

Ma Sha Allah

Anonymous said...

(Q).jab imam sahib surrah fatiha Kay bad koi surrah partay gain to kya WO unkay sath sath parhny chahe ?

Unknown said...

Assalamalaikum,,kya yehi jumma ki namaz ladhkiyan b padhsakte kya,,apse guzarish hai k yeh batayi mujhe Zara ap ....

Unknown said...

Assalamualaikum.. Kya jumma ki namaz aurat ko.. Masjid me padhne k baad padhne hai ghr per...ose pahle azan hone k baad nahi phadsakti kya aurt namaz...

Anonymous said...

Juma ki full namaj say

Anonymous said...

aslam o akekum.
jsha ma rahta ho waha jamya nadjed bohat door hy mary pas gari b nhi pydal chal k nhi jaya ja sakta or jaha ma kam karta ho waha hi rahta ho. ya wk hotel hy ma es ki dakhbhal karta ho to ma hotel khula choor k nhi ja sakta ya hotel city sy bohat door hy.
to ma jumma ki nimaz hotel ki masjed ma adda kar sakta ho???
azharanwar78@gmail.com
plz mail me snd ans my Question.

Azhar Sss said...

aslam o akekum.
jsha ma rahta ho waha jamya nadjed bohat door hy mary pas gari b nhi pydal chal k nhi jaya ja sakta or jaha ma kam karta ho waha hi rahta ho. ya wk hotel hy ma es ki dakhbhal karta ho to ma hotel khula choor k nhi ja sakta ya hotel city sy bohat door hy.
to ma jumma ki nimaz hotel ki masjed ma adda kar sakta ho???
azharanwar78@gmail.com
plz mail me snd ans my Question.

Ali hamza said...

MASHA ALLHA

Unknown said...

Masha allah bhai log kafi naki ka kaam allah apko jannat me ala makam ata farmaye ameen

Anonymous said...

Mashallah.....

SUNNY JAMALI said...

Kya Sana Sunaton Men Aur Naflon Men Bhi Parhi Jaye

Unknown said...

assalamualaikum

mera naam Awej khan hai

mera swal hai ki ____
agar meri fazr ki namaz ka hai
aur juma me mai khutbe ke waQt pahuncha to 2 rkat farz juma ada krone k baad mai fazr ki kza pahle pdhu ya Qabl-e juma ki sunnat ya fir juma k baad ki sunnat ?????
farz k baad phle kya pdhu ???

Anonymous said...

assalam o alaikum. mein ye janna chahti hoon k aurton ko namaz e jumma ya jumma k roz zuhr k waqt kitni rakatein parhni chahye? I know k aurton py namaz e jumma farz nai par agar koi parhna chahy to kya tariqa hai or kitni rakatein hain?

Anonymous said...

Subhanallah shukriya bhai jaaan

Anonymous said...

Subhanallah shukriya bhai jaaan

rihan ali said...

thnx bhai jaan

showkath said...

Assalamu allaikum,for jumma, immam started kutba,is it compulsory to pray sunnah at the time of kutba.

Popular Posts

Template by:
Free Blog Templates