Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha

Friday, July 29, 2011

namaz parna ki jagah















As salamu allaiqum
Namaz perna k liya paak saaf jaga hona bohat zaroore ha . agar jaga pak saaf nahi howi to namaz nahi hogee. Allah tala quran pak main namaz k liya jaga ki paki ka bare main farmate ha
(6) اور جب ہم نے کعبہ لوگوں کے لیے عبادت گاہ اور امن کی جگہ بنایا (اور فرمایا) مقام ابراہیم کو نماز کی جگہ بناؤ اور ہم نے ابراھیم اور اسماعیل سے عہد لیا کہ میرے گھر کو طواف کرنے والوں اور اعتکاف کرنے والوں اور رکوع کرنے والوں اور سجدہ کرنے والوں کے لیے پاک رکھو
( سورة البقرة , Al-Baqara, Chapter #2, Verse #125)
(81) اور جب ہم نے ابراھیم کے لیے کعبہ کی جگہ معین کر دی کہ میرے ساتھ کسی کو شریک نہ کراور میرے گھر کو طواف کرنے والوں اور قیام کرنے والوں اور رکوع و سجود کرنے والوں کے لیے پاک رکھ
( سورة الحج , Al-Hajj, Chapter #22, Verse #26)

Namaz padhnay waalay ki jagah ki saat{7} shartay hai.
{Pehli Shart} Woh jagah ehtiyaat e wajib kay bina par mubah ho.
{854} Jo shakhs ghazbi jagah par namaz padh rahaa ho agarche woh khud qaaleen, takht ya isi tarah ki doosri cheez par ho, ehtiyaat e laazim ki bina par uski namaz baatil hai. Lekin ghasbi chat kay neechay aur ghazbi khaimay talay namaz padhnay may koyi haraj nahi hai.

{855} Aisi jagah namaz padhna jis ki manfa-at kisi aur ki milkiyat ho to manfa-at kay maalik ki ijaazat kay bagahair wahaa par namaz padhna ghazbi jagah kay namaz padhnay kay hukum may hai. Masalan kiraaye kay makaan may agar maalik makaan ya koyi aur shakhs kiraayedaar ki ijaazat kay baghair namaz padhay to ehityaat ki bina par uski namaz baatil hai.

{856} Agar koyi shakhs masjid may baitha ho aur doosra shakhs isay baahar nikaal kar aur uski jagah par qabza karay aur us jagah par namaz padhay to us ki namaz sahi hai agarche us nay gunaah kiya hai.

{857} Agar koyi shakhs kisi aisi jagah par namaz padhay jis kay ghazb honay ka isay ilm na ho aur namaz kay baad usay pata chalay ya aisi jagah namaz padhay jis kay ghazb honay ka woh bhool gaya ho, aur namaz kay baad usay yaad aaye to us ki namaz sahi hai. Lekin koyi aisa shakhs jis nay khud woh jagah ghazb ki ho aur woh bhool jaaye aur wahaa namaz padhay to uski namaz ehtiyaat ki bina par baatil hai.

{858} Agar koyi shakhs jaanta ho kay yeh jagah ghazbi hai aur us may tasarruf haraam hai lekin usay yeh ilm na ho kay ghasbi jagah par namaz padhnay may ishkaal hai aur woh wahaa namaz padhay to ehtiytaat kay bina par uski namaz baatil hai.

{859} Agar koyi shakhs wajib namaz sawari ki haalat may padhnay par majboor ho aur sawaari ka janwar ya uski zeen ya naal ghazbi ho to ehtiyaat e wajib ki bina par us ki namaz baatil hai aur agar us jaanwar par sawaari ki haalat may mustahab namaz padhna chaahay to uski namaz ka bhi yehi hukum hai.

{860} Agar koyi shakhs kisi jaahedaad may doosray kay saath shareek ho aur us ka hissa juda na ho to apnay shraakatdaar ki ijaazat kay baghair woh jaahedaad par tasarruf nahi kar sakta aur us par namaz padhna bhi ehtiyaat e wajib ki bina par baatil hai.

{861} Agar koyi shakhs koyi aisi raqam say jaahedaad khareeday jis ka khums us nay ada na kiya ho jab kay souday may raaje tareeqa e kaar kay mutaabiq, qeemat apnay zimmay lay li ho to jaahedaad may tasarruf karna us kay liye halaal hai aur woh shakhs ada shuda qeemat kay khums ka maqrooz hoga. Lekin agar woh ain usi maal say jaahedaad khareeday jis par khums wajibul ada tha to haakim e sharaa ki ijaazat kay baghair us ghar may tassarruf haraam aur ehtiyaat e wajib ki bina par us jagah namaz baatil hai.

{862} Agar kisi jagah ka maalik zubaan say namaz padhnay ki ijaazat day aur insaan ko ilm ho kay woh dil say raazi nahi hai to us ki jagah par namaz padhna jaaez nahi hai aur agar ijaazat na day lekin insaan ko yaqeen ho kay woh dil say raazi hai to namaz padhna jaaez hai.

{863} Jis marhoom nay zakaat aur us jaisay maali waajibaat ada na kiye ho to us ki jaahedaad may koyi aisa tasarruf karna jo waajibaat ki adaayegi may maanay na ho masalan us kay ghar may namaz padhna, wurasaa ki ijaazat say jaaez hai. Isi tarah agar qarzdaar ka qarz adaa kar diya jaaye ya koyi apnay zimmay lay lay ya itni miqdaar judaa kar li jaaye to baaqi jaahedaad may aisa tasarruf karna bhi jaaez hai jo us jaahedaad ko talf kar day.

{864} Agar marhoom kay baaz wurasaa kamsin ya majnoon ya ghair haazir ho to un kay wali k ijaazat kay baghair us ki jaahedaad may tasarruf haraam hai aur us may namaz jaaez nahi. Haa un maamuli tasrufaat may koyi haraj nahi jo mayyat kay ghusl o kafan waghaira kay amwaar anjaam denay ka muqaddema hai.

{865} Kisi ki jaahedaad may namaz padhna us soorat may jaaez hai jabkay us ka maalik sareehan ijaazat day ya koyi aisi baat kahay jis say maalum ho kay us nay namaz padhnay ki ijaazat day di hai. Masalan agar kisi shakhs ko ijaazat day kay is ki jaahedaad may baithay ya soye to us say samjha jaa sakta hai kay us nay namaz padhnay ki ijaazat bhi daydi hai ya maalik kay raazi honay par doosri wujuhaat ki bina par itminaan rakhta ho.

{866} Intehaayi wasi o areez zameen may namaz padhna jaaez hai agarche us ka maalik kamsin ya majnoon ho ya wahaa namaz padhnay par raazi na ho. Isi trah in baaghaat aur zameeno may kay jin kay darwaazay aur deewaar na ho, In kay maalik ki ijaazat kay baghair namaz padh saktay hai. Lekin agar is soorat may maalum ho kay maalik raazi nahi hai to zaruri hai kay tasarruf na karay aur agar maalik kamsin ya majnoon ho ya is kay raazi na ho nay ka gumaan ho to ehtiyaat laazim yeh hai kay wahaa tasarruf na kiya jaaye aur namaz na padhi jaaye.

{867} {Doosri Shart} Zaruri hai kay namaz ki jagah wajib namazo may aisi na ho kay tez harkat namazi kay khaday honay ya ikhtiyaari ruku aur sujood karnay may maanay ho balki ehtiyaat e laazim ki bina par zaruri hai kay is kay badan ko saakin rakhnay may bhi maanay na ho aur agar waqt ki tangi ya kisi aur wajah say aisai jagah masalan bus, truck, kashti ya rail gaadi may namaz padhay to jis qadar mumkin ho badan kat thehraao aur qiblay ki simt ka khayaal rakhay aur agar transport qiblay say kisi doosri taraf mudh jaaye to apna muh qiblay ki jaanib modh day. Agar mukammal tour par qiblay ka khayaal rakhna mumkin na ho to koshish karay kay 90 degree say kum ikhtelaaf ho. Agar yeh bhi mumkin na ho to sirf takbeeratul Ehraam kehtay waqt qiblay ka khayaal rakhay aur agar yeh na ho sakay to qiblay ka khayal rakhna zaruri nahi.

{868} Jab gaadi, kashti ya rail gaadi waghaira khadi huyi ho to un may namaz padhnay may koyi haraj nahi hai. Yehi hukum bhi us waqt bhi hai jab chal rahi ho lekin us hadd tak na hil jhul rahi ho kay namazi kay badan kay thehraao may haail ho.

{869} Gandum, jawaar aur un jaisi doosri ajnaas kay dher par jo hilay jhulay baghair nahi reh saktay namaz baatil hai.

{Teesri Shart} Zaruri hai kay insaan aisi jagah namaz padhay jahaa namaz poori padh lenay ka ehtemaal ho. Lekin kisi aisi jagah rijaa ki niyyat say namaz padhay jahaa itminaan ho kay masalan hawaa aur baarish ya bhed bhaad ki wajah say wahaa poori namaz na padh sakayga ittefaaq say poori padh lay to koyi haraj nahi.

{870} Agar koyi shakhs aisi jagah namaz padhay jahaa theherna haraam ho masalan kisi aisi makhroosh chat kay neechay jo anqareeb girnay waali ho to woh gunaah ka murtakib hoga lekin us ki namaz sahi hai.

{871} Kisi aisi cheez par namaz padhna jis par khada hona ya baithn haraam ho. Masalan qaleen kay aisay hissay par jahaa Allah Taalaa ka naam likha ho agar qasday qurbat may maanay ho jaaye to sahi nahi hai.

{Chouthi Shart} Jis jagah insaan namaz padhay uski chat itni neechi na ho kay seedha khada na ho sakay aur na hi woh jagah itni mukhtasar ho kay ruku aur sajday ki gunjaaish na ho.

{872} Agar koyi shakhs kisi aisi jagah par namaz padhnay par majboor ho jahaa bilkul seedha khada hona mumkin na ho to us kay liye zaruri hai kay baith kar namaz padhay aur agar ruku aur sujood adaa karnay ka imkaan na ho to un kay liye sar say ishaara karay.

{873} Zaruri hai kay paighambar e akram s.a.w.s. aur aimma e ahlebait a.s. ki quboor e mutahhir ki jaanib pusht kar kay, agar in ki be huurmati hoti ho to namaz na padhay. Is kay alaawa kisi aur soorat may ishkaal nai. Lekin namaz dono soorato may sahi hai.

{Paanchwi Shart} Agar namaz padhnay ki jagah najis ho aur najaasat aisi ho jo namaz ko batil kar denay waali ho to itni martoob na ho kay us ki rutubat namaz padhnay waalay kay badan ya libaas tak pahuchay. Lekin agar sajday may peshaani rakhnay ki jagah najis ho to khwaa woh khushk bhi ho namaz baatil hai aur ehtiyaat e mustahab hai kay namaz ki jagah bilkul najis na ho.

{Chatti Shart} Ehtiyaat e laazim ki bina par zaruri hai kay aurat mard say kam say kam itna peechay khaday ho kay us kay sajda karnay ki jagah sajday ki haalat may mard kay do zaanu kay baraabar faaslay par ho.
{874} Agar koyi aurat mard kay baraabar ya aagay khadi ho aur dono bayak waqt namaz padhnay lagay to ehtiyaat e wajib ki bina par zaruri hai kay namaz ko dobaara padhay. Yehi hukum hai agar ek doosray say pehlay namaz shuru kar day.

{875} Agar mard aur aurat ek doosray kay baraabar khaday ho ya aaurat aagay khadi ho aur dono namaz padh rahay ho lekin dono kay darmiyaan deewaar ya parda ya koyi auar aisi cheez haail ho kay ek doosray ko na dekh sakay ya un kay darmiyaan dus {10} haath say ziyaada faasla ho to dono ki namaz sahi hai.

{Saatwi Shart} Namaz padhnay waalay ki peshaani rakhnay ki jagah do zaanu auar paau ki ungliya rakhnay ki jagah say chaar mili huyi ungliyo ki miqdaar say ziyada uchi ya neechi na ho. Is masa’lay ki tafseel sajday kay ehkaam may aayegi.

{876} Namehram mard aur aurat ka khalwat may ek aisi jagah hona jahaa gunaah may mubtelaa honay ka ehtemaal ho haraam hai aur ehtiyaate mustahab yeh hai kay aisi jagah namaz na padhay.

{877} Jis jagah sitaar bajaaya jaa raha ho aur us jaisi cheez istemaal ki jaa rahi ho wahaa namaz padhna baatil nahi hai go in ka sunna aur istemaal karna gunaah hai.

{878} Ehtiyaat e wajib yeh hai kay ikhtiyaar ki haalat may khaanay kaaba kay andar aur us ki chat kay upar wajib namaz na padhi jaaye. Lekin majboori ki haalat may koyi ishkaal nahi hai.

{879} Khaanay Kaaba kay andar aur us kay chat kay upar naafela namaz padhnay may koyi haraj nahi hai balki mustahab hai kay Khaanay Kaaba kay andar har rukn kay muqaabil do {2} rakat namaz padhi jaaye.

WOH MAQAAMAAT JAHAA NAMAZ PADHNA MUSTAHAB HAI
{880} Islam ki muqaddas shariyat may bahut taaqeed ki gayi hai kay namaz masjid may padhi jaaye. Duniya bhar ki saari masjido may sab say behtar Masjidul Haraam aur is kay baad Masjid e Nabawi hai aur is kay baad Masjid e Kufa Aur is kayt baad Masjid e Baitul Muqaddas ka darja hai.Is kay baad sheher ki jaama masjid aur is kay baad mohallay ki masjid aur is kay baad baazaar ki masjid ka number aata hai.

{881} Aurato kay liye behtar hai kay namaz aisi jagah padhay jo namehram say mehfooz honay kay lihaaz say doosri jagaho say behtar khwaa woh jagah makaan ya masjid ya koyi aur jagah ho.

{882} Aimma e Ahlebait a.s. kay haramo may namaz padhna mustahab hai balki masjid may namaz padhnay say behtar hai aur riwaayat hai kay Hazrat Ameerul Momeneen a.s. kay haram e paak may namaz padhna do {2} laakh namazo kay baraabar hai

{883} Masjid may ziyaada jaana aur is masjid may jaan jahaa log bahut kum namaz padhnay aatay ho mustahab hai aur agar koyi shakhs masjid kay pados may rehta ho aur koyi uzar bhi na rakhta ho to is kay liye masjid kay alaawa kisi aur jagah namaz padhna makrooh hai.

{884} Jo shakhs masjid may na aata ho, mustahab hai kay insaan is kay saath mil kar khana na khaaye, apnay kaamo may is say mashwara na karay, us kay pados may na rahay aur na uski aurat ka rishta lay aur na usay rishta day.

WOH MAQAAMAAT JAHAA NAMAZ PADHNA MAKROOH HAI
{885} Chand maqaamaat par namaz padhna makrooh hai jin may say kuch yeh hai.
Hamaam 2)Shorzada zameen 3)Kisi insaan kay muqqabil 4) Us darwaazay kay muqaabil jo khula hai.
5.)Sadak aur gali koochay may bashartay guzarnay waalo kay liye baais e zehmat ho aur agar unhay zehmat ho to in kay raastay may rukaawat daalna haraam hai. 6) Aag aur chiraag kay muqaabil
7) Baawarchi khaany may aur har us jagah jahaa aatishdaan ho.
8) Aisay kuwaay aur gadhay kay muqaabil jis may peshaab kiya jaat ho
9) Jaandaar kay photo ya mujassimay kay saamnay magar yeh kay usay dhaap diya jaaye.
10) Aisay kamray may jis may junub shakhs moujood ho
11} Jis jagah photo ho khwaa woh namaz padhnay waalay kay saamnay na ho
12) Kabr kay muqaabil 13) Qabr kay upar 14)Do qabro kay darmiyaan 15}Qabrastaan may

{886} Agar koyi shakhs logo ki rahguzar par namaz padh raha ho ya koyi aur shakhs us kay saamnay khada ho to namazi kay liye mustahab hai kay apnay saamnay koyi cheez rakh lay aur agar woh cheez lakdi ya rassi ho to bhi kaafi hai.




Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com







Popular Posts

Template by:
Free Blog Templates