Azan ka adab karna chaheya . bohat se bewakuf log ha jo azan ka adab nahi karte ya phir apna kamo main laga rehta ha laken unko azan ki fazilat he maloom nahi hote . or bohat se jahil ahsa log ha jab azan ho rahe hote ha to jo wo nach gana sun rahe hote ha ya deak rahe hote ha to ushe main magan rehta ha . tv ki awaz he kam nahi karte . or bohat se log to gana he band nahi karte azan ka waquat . ahsa kam karna se gorez kareen or apna iman ko bachae
Azan ka adab yeah ha k jab azan ho rahe ho to koshes yeah karni chaheya ka khamosh rahe . app salal laho allai wasalam ny is ki be takid farmahe ha k azan k her hurf ka jaweb dena chaheya . yani jo alfaz mozin kehta jahe wo sunna wala be wohe alfaz kahe albata jab mozin hai ya las salah or hai ya lal falah kahe to in kalmat ka jaweb main la hola wala kuwata illa billa hil ali ul azeem kehna chaheya
Hazrate abdullah bin umer razi Allah tala anho se rewayat ha k App Salal laho allai wasalam ny irshad farmaya : jab tum azan sono to mozin ki tarah tum be yahe alfaz kaho phir mujh per darood bejho q k jo shaks mujh per ake martabah darood beja Allah tala us per das martabah rehmat nazil farmate ha phir Allah tala se mera liya makam (wasila) ki dua karo q k wo jannat ka ake ahsa darja ha jo Allah k bando main se kisi ake he ko milay ga or mujha umeed ha k wo bandah main hoga chunacha jo shaks mera liya wasila ki dua kareen ga is k liya mare shifat lazim ho jahe gee (sahih bukhare )
Azan ka baad ki dua
AZAN KE BAAD KI DUA
allahuma raba haza al dawate altamate wa.salatil qaima aate mumhammad in alwasilata wal.fadila wa.darjatul rafiaa wa.ba.as.hu mukaman mehmoodanilazi wa.aadta wa.ruzona shafaata yom.al.qayamate.ee inaka la tukhliful miaad.
ay parwardigar is puri pukar ke aor kaim hone wali namaz ke - hazrat muhammad s.a.w.w ko wasila aor fazilat aor buland darja atta farma aor aun ko makam e mehmood mein khada kar jis ka tune aun se waada kiya hai aor hum ko kayamat ke din aun ki shafaat se behra mand kar beshak tu apne waade ke khilaf nahi karta .
hazrate jabir razi Allah tala anho se rewayat ha k Hazrate muhammad salal laho allai wasalam na azan k baad yeah dua parna walay ko bisharate de ha k kayamat k din is k liya rasool pak salal laho allai wasalam ki shifat wajid ho jahe gee (bukhare)
hazrate saad bin abi waqas razi Allah tala anho rasool pak salal laho allai wasalam k yeah irshad nakal karte ha k jo shaks azan sun kar yeah alfaz kahe to us k gonah ki magfirate ho jate ha
note jab azane hote ha to bohat sare hote ha ake sath un main se jo sab se kareeb ki ya phir jis azan ki awaz sahih sunahe de to uska jaweb de . baad main ya or azano ka jaweb dena chahe to de sakte ha ake azan ka jaweb dena se sunnat ada ho jahe gee
agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa hamare kohi or dosare kisi be kisam ki help support nahi ha
dua main yaad rakhya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com
19 comments:
thank you But everything is in big size except the dua i would like it a lot if make the dua a little bigger thankyou.
mashaallah
Shukriya ki aap itni achi malumat ko internet par post kiya.
JazakAllah
ameen..............................
thank you brother.
Subhanallah....!!!
Yeh Page Jin Loggo Ny Banaya Hai Mai Unlogo Ka Bhot Bhot Shukriya Adda Kerna Chahunga Or Yeh Bhi Kehna Chahuna Ky Bhaiyo Jittna Ho Saky Aap In Baato Ko F B Pe Bhi Update Karin Please Sir....
Allahu Akbar
aameen
Masha Allah besaq
Jazakallah. Allah ki rahmato se faizyab hone k leay Asmae Hasna Free hasil kren:
http://ismeazam-Allah.com
Mashaallah
allah taaala aap ko jaza e qhire ata farmai ameen
jazakalkah
Subhan'Allah
Jazakallahu'khair
Subhan alla
Sobhan alla
Sobhan alla
Enter your comment.SubhanAllah
Post a Comment