Yeah 4 rakat namaz faraz zohar ka tareka ha . sab se pehla niyat kareen .us ka baad takbir e tareema kareen yani apna dono hath apna kano tak le jar kar dono hath ka anghotay kano ki loh pe lagahe yani kan k nichla hisa pe lagahe . phir kahe Allah-o-Akbar keh kar apna dono hath band lay hath naf ka nicha rakh kar band lay bahe hath ka uper daya hath ana chaheya or girift bana kar pakarlay dahe hath se bahe hath ko phir sana pareen
SANAA
"Subhana Kalla Humma Wa Bee Hamdeeka Wata Baara Kasmooka Wa Ta'ala Jaddoo Ka Wa La ilaha Ghairuka"
Is ka baad
TA'AWUZ pareen
"Aaoo Zoo Billahee Minash Shaitaanir Rajeem"
phir
TASMIYAH pareen
"Bimillah Hir Rahmaanir Raheem"
Is k baad surah fateha pareen
SURAH FAATEHA
"Alhamdo Lillahi Rabbil Aalameen Ar Rahamaanir Raheem Maaliki Yaomid Deen iyya Kana Budoo Wa iyya kanastaeen Ihdinas Siratual Mustaqeem Siratual Lazeena An Amtaa Alaihim Ghairil Maghdoobe Alaihim Walad Dualleen"
Phir quran pak ki kohi se be surah ki tilawat kareen surah choti be par sakte ha jesa surah falaq, surah nas, surah kafiron, surah fil ,surah ikhlaas,
Phir surah ikhlas pareen
SURAH IKHLAAS
"Qul Huwal-Laahu Ahad. Allaa-hus Samad Lam Yalid Walam Yoolad Walam Yakul Lahoo Kufuwan Ahad."
Phir yeah kahe Allah-0-Akbar or rukoo main jahe apna dono hath apna ghootno per rakhe or yeah tasbi pareen 3 5,ya 7 dafa
"Subhaana Rabbi-yal Azeem"
Us ka baad TASMEE yani yeah alfaz keh kar seda khare ho jahe
"Samee Allahoo Layman Hamidah"
Phir seda khare khare yeah kahe
"Rabbana Lakal Hamd"
Phir sajda main jahe Allah_0_akbar kehta howa
Sajda main jate howa zameen per pehla gotna rakhe , phir hath rakhe ,phir dono hatho ka darmayan is taraha chera rakhe k pehla naak or phir matha zameen per ahe or hath is tarah rakhe ka ungaliya kibla rukh ho note(pao khare rakhe or niche pao ki ungaliya fold honi chaheya taka pao ki ungali be sajda kareen , pet rano se nahi lagna chaheya mard ka )
Or sajda main yeah tasbi pareen
SAJDAH
"Subhaana Rabbi-yal 'Alaa" yeah 3,5,ya 7 dafa be par sakte ha
Phir Allah -0-Akbar keh kar beth jahe or apna daya pao khara rakhe or ulta pyer ka upper beth jahe
Phir dosara sajda kareen or yahe tasbi pareen
"Subhaana Rabbi-yal 'Alaa"
Phir Allah-o-Akbar kehta howa seda kareen ho jahe
Or dosare rakat pore kareen jab dosara sajda dosare rakat ka karleen to bajahe seda khara hona ka wahe beth jahe or TASHAH-HUD pareen
"Atthayyato Lillahe Wassalawato Wat Tayyebato Assalamu Alaika Ayyohan Nabiyo Wa Rehmatullahi Wa Barakatoh Assalamu Alaina Wa Ala Ibadillahis Sualaiheen Ashadu An La ilaah illal Laho Wa Ashadu Anna Mohammadan Abdohoo Wa Rasooluhoo"
TASHAH-HUD parte howa jab Ashadu An La ilaah illal Laho per pouchay to dahe hath ki shahad ki ungali ko chor kar baki ki tino ungali ko moti ki tarah band karleen or anghota ko be milahe or shahdad ki ungali ko thore dair k liya otha kar gira den
Phir Allah_0_ akbar kehta howa seda khare ho jahe or hath band kar apni tesare rakat pareen (yeah faraz namaz ha is main 3 rakat main surah fateha ka baad kohi sorate nahi parte .surah fateha khatam karna ka baad seda roko main chalay jate ha ishe tarah 4 thi rakat be pareen jab 4 thi rakat ka dosara sajda karleen to bajahe seda khara hona ka wahe beth jahe or TASHAH-HUD pareen
Phir DUROOD-E-IBRAAHEEMI pareen
"Allah Humma Salle Ala Mohammadiyon Wa Ala Ale Mohammadin Kama Sallaita Aala Ibharima Wa Ala Aalay Ibarhima Inna Ka Hameedum Majeed. Allah Humma Baarik Aala Mohammadiyon Wa Ala Ale Mohammadin Kama Barakta Ala Ibrahima Wa ala Ale Ibarhima Inna Ka Hameedum Majeed."
Phir kohi dua pareen jo quran or hadees main ho
DUA 1
"Allaa-humma Innee Zalamtu Nafsee Zulman Kaseeran wa Innahu Laa Yaghfiruz-Zunooba Illaa Anta Faghfirlee Maghfiratam Min 'Indika Warhamnee Innaka Antal Ghafoorur Raheem."
DUA2
"Allah Humma Rabbana Aatina Fid Dunya Hasanah Wa Fil Akhirate Hasanah Wa Qina Azaban Naar."
in main kohi se 1 Dua parleen
Is ka baad seda khanda ki taraf mu kar ka yeah kahe
assalamu alaikum wa rahmatullah
phir ulta khanda ki taraf kar k yeah kahe
assalamu alaikum wa rahmatullah
salam karte howa namaze ki nazree kando ki taraf honi chaheya
is video ko be deak lay is main zohar ki namaz sunnat adah karna ka tarika ha
agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa hamare kohi or dosare kisi be kisam ki help support nahi ha
dua main yaad rakhya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com
93 comments:
shukriya .sahab aap ka .namaz ke tariqe dikhane ka .dua me yaad rakhiye
shukriya
Shukriya bhaijaan.
Mashallaha ..allaha Kare hum sub ki namaz ayisi hi ho ameen.....
ap ka shukria ap boht acha kam kiya ha
bahoot bahoot shukriya
bahoot bahoot shukriyaa bhai
thank u vry much for
sharing
Bari mair bani sir jee
janab ap ka bahot bahot shukriya meri namaz mukammal kerne ke liye
Hame akele (Without Imam) Farz namaz padhne ka tarika bataiye.
Khas taur pe 4 raqat.
Masha Allah
Shukriya janab
bahut bahut shukriya janab
shukriya .....
shukriya .... may allah grant you to jannah
shukriya
kya ye tareeka oratoon k liye bhi hai ya sirf mardo k liye
Sukriya
larkiyan bhi aise namaz prh skti hain ???
nicely written.. shukriya
Sukriya Bhai
buhat acha kamm hai ap ka khuda ap ko is ka ajaar da ameen
ALLAH ap ko is kam ka ajar da ammeen
'
Mashallah aap ko iska ajar zarur milega.. allah aap ku aur aap k tammam ghar walo ko sahet de aur aap ki her dua qubool karein.
masallah janab apka bohat bohat sukriya
masallah aap bohat acha kaam Allah pak apko iska azar jrur dega
bohat bohat shukriya
thankx
Asalamualaikum
....
Shukriya Bhaijaan ...
Aapke Dwara Shikhai Gayi Namaz ko Jab Hum Allah Ki Bargah Me Pesh Karenge to Sabse Pahle Aap hi ko sawab mile .... Yahi Dua Hai ...
Aameen..
Asalamualaikum
Asalam o alikum
Sir mujhay 2 sawal pochnay hn agr ap mehrbani farmaen tu !
1.Namaz e zohar aur asar ki namaz jb bajamat parhty hn tu
Imam shb khamosh hotay hn dil mn parhtay hn Surah fatiha aur sura
tu kia hm b apnay dil mn ye parhen ya bs imam k pechay khamosh kharay rahin.
2.koi b 4 rakat ki namaz mn imam pehli 2 raqat mn qirat krtay hn aur hm khamosh rehtay hn tu agli 2 rakat mn imam khamosh hojatay hn
kia is 2 rakat mn hm khamosh rahin gy ya dil mn surah fatiha parhen gy.
apky jawab ka intazar rahy ga.
Shukria Waleed ahmad
subhanaallah sahi tarika se namaj aada karna sikhae
subhanallah mujhe sahi tarika se namaj aada karne ki hidayat mila
Assalam wale kum jaise aap ne namaz padhne ka tarika bataya aur likha hai mujhe namaz sahi tarike se padhne a gayi hai Aur ab namaz ko sahi tarike se padhne se dil bahut sukun milta hai shukriya bhai jaan
JAZAK ALLAH KHAIR bhaijan..mjhe apne chhote bhai ko sikhana tha namaz ka taika..qki mard ka thoda alag tarika hota h..jo apke zerye main kr pai..shukriya
sir mera question yeah hay k paheli rakat k bad bad jab hum dosri rakat shroh kartay han tu uss waqat bh sana parhni hoti hay ya sura e fatiah sa shroh kartay han
assalaam o alikum si
mera quastin yeah hay k paheli rakat k bad jab hum dosri rakat shro kartay han tu uss waqat bh sana parhni hoti hay ya sura fatiah sa shroh kartay han..??
wasim sana sirf ek bar hi pada jata hai o pehali rakat bante hi padijati
Sukriya bhai aap ne bahut acha kam kiya
Sukriya bhai aap ne bahut sahi kam kiya hai khuda aap ko har khusi de ameen
sukriya bhaya muja to aap ke tharaf eak confuse door hogay aap ko alla har khusi de ameen
sukriya all of you
Shukriya bhai jaan aapkye Karn mujhye sahi tarikye se namaz padhnye aaya .mai aapka dil se shukra guzar hun. Bs itni si guzarish hai duaa me yaad rakhyi ga
Shukriya,ab mujhe namaz padna aagayahai,In-Sha-Allah Allah hamesa apko khush rakkhein...
thanks bhai ap ka bhot sukriya mera ek sawal he ke jab fajar zuhar ya kisi b namaz me misal ke toor pe magrib ki namaz me 3 farz pharne ke bad 2 sunnat 2 nifil pharhne se phele kuch der tk bethe rehte hen to us wakat kia pharte hen
Thanks a lot Jazakallah Khair !!
asslam walikum muje Fatiha sikha ne ha bhai plz help dua aur faith...
Apka lack lack sukhur ada kartha hu.
Aswlkm Bhai bismillah ka spelling bimillah hai plz correct ki jia afhz
Aise hi aap Islaam ko failate rahein iske liye lakh-2 shukriya thanks
Jazak Allah
Dono sajdo k darmiyan v ek duwa padhu jati hai...plzz btaye wo duwa kia hai
Aslam o alekum sir me yi tareqaa sunat namazo k ly janna chata hn plz
Enter your comment...shukriya aap ka jo namaaz ka tarikha hume sub ku sikaye or diklay bohat bohat shukriya dua ki ghujarish
Buhat acha kam kar rahe ho ap ki waja sa muje buhat faida hoa ha thank you
Allah Un per Ramatain Nazil Farmay Jo Din Ki Islah Kar Rahain han AAmeen.
Sunnat namaaz mai charo rakat mai sureh padhnaa hotaa hai kya
shukria sahib
Shukriya
Mashallah jazaqallah
Bahut bahut shukria
shukriya
is k zariye humari namaz sahi hogi
Jazak Allah
jazzak allah
Kya akele namaz padhne time iqamat dena chahiye
Kya qaja namaz mai iqamat dena jaruri hai..
Mashallah bohat bohat shukariya
Assalamualaikum
Mashallah bohat bohat shukariya
Itna detail me samjhana ka
3 rakat pahly jase parhny hai please jaldi btaye
Shukirya inshaallah ab nemaz zarur paru ga kiu k phle nhi ati thi or apke page se mujhe bilkul sahi nemaz samjhe me ai he Allah pak apko iska ajar De ga amen ye mera WhatsApp number 03443058810 he piz mujhe Quran pak parna he or ap meri help Karen
Boht boht shukria
mera sawal yeh hai alhamd k baad aur sureh se pahle tasmiya padhna chaiye ya nahi
mera sawal ye hai k alhamd ke baad sureh se pahle tasmiya padhna chaiye ya nahi
Subhan Allah
Bahut Bahut Sukhriya Janab...
assalamoalaikum sahab.aapne hamein itne aasaan shabdon mein namaz padhna sikhaya isske liye shukriya.
main aapse yeh poochhna chahta thaa ki kya nafil ki namaz ka tariqa alag hota hai ya aisaa hi?
4 rakat sari sajdoun k bd se suru ki jati hain?matlb hr br sajood k bad 2sri rakat suru hogi?
����MASHAALLHA JAZZAK ALLHA����
Shukriya bhai aap sach me bahoot acha kaam kar rhe hai.
Shukriya...
shukriyan bhai Dua me yad rakh na
Shukriya janaab allah aapko salamat rakhe
Shukriya allah aap ku hamesha salaam rakhe duwa may yaad rakhna
Sukhriya Mashallah jazak allah o khair
Bahia mjy ye brain k qyam me sura ikhlas parh Lyn ya koi dusri surah parin
Zohar ki 4 sunnat namaz me 3sri rakat me surah fatiah k bad koi surat parhi jati ha yan nhi?
Thank
Bhot bhot shuriya
Bahot Bahot Shukriya
Assalawalekum
Jara dua mein kya padhe jara batayega #bhaijann
Tashhad kab kab kab parhna chahye ? Agar zuhar ki namaz me hum sunat nafal farz ki alag alag niyat krte hain to kya hum sunat nafal farz ki har akhri rakat me tashhad parhien ge?
Thank you for explaining us😊
Please full 12 rakat ka triqa share kr dy zohr ki or esha ki b 17 ka kindly
Post a Comment